aaj aasmaaan meein thode baaadal the ,
raat ghani thi par kuch taare the..
kaam se khali hokar jab main chajjje pe aai ..
sard hawa ne mere galon ko chuu kar meri julfein udaaain.
uppar dekha toh asmaan me chaand nahi tha..
arey han ! tum bhi to mere paaas nahi the ........
tab tere na hone ka ehsaaas hua !!!!
San-sani hai fizao par
ReplyDeleteKoi tufaan bhi nahi
Ek aahat thi uski
Hui koi dastak bhi nahi
Ladkharaatein hue kadamon se chal kar
Dekha maine jo palat kar
Wo yaadein thi uski
Par lagaa-aisa...
ki kahi woh aayi toh nahi…